Khule aasmanon ki khwahishein samete...
Pankhon ko failaye, ud chala hoon main..
Kuch dhundli si manzilen hain haasil karni
Dhoondhta unhe, kho chala hoon main..
Tedhe medhe se pathreele hain raaste,
Nange pair inpe chal pada hoon main
Ankahe lafzon ke sannaton mein goonjti,
Awaaz apni hi, sun ne chala hoon main.
Toota bhi hoon, main haara bhi hoon
Khud ko sambhalta chala hoon main,
Guzarte hue lamhon se aankhein churate,
Apni pehchaan sambhale chala hoon main.
Chalte hue kaafi door nikal aaya hoon,
Palat ke ye dekhna chahta hoon main...
Kya koi aur bhi hai, mere saath chal diya
Ya yun akela hi chalta, ja raha hoon main.
- Avra Sengupta
Very nice Avra :)
Thanks Ujji :) :)
manzilen dhundli kiyu hai mere dost , manzilen tho bas amrit ki tarah sawach aur vimal honi chahiye
waise teri poem mujhe bahut achi lagi .. lag raha hai ki aab tune akelepan ka ilaaj dhoond liya hai ..bas thori deer mein tu piche dekhna bhi chor dega.. aur naa kissi ki aas hogi aur naa koyi pyaas hogi ..tu apne aap mein iss tarah se dhal jaye ga jaise kadpe mein kapas .
keep writing and i love reading such stuff .
U make me always proud in a billion ways... good... keep writing. .