• Facebook
  • Twitter
  • Linkedin
Posted by Avra Sengupta - - 0 comments

Us mez pe, meri kuch aadhi likhi kavitaayein hain,
Shayaad unhein kabhi poora na kar sakoon...
Unmein jo alfaaz adhure reh gaye hain,
Ho sake, to unhe apne kuch bol, udhar de dena.

Tumse churaye hue kuch pal ab bhi hain yahaan,
Mehfooz hain, yaadon ki silvaton mein...
Inhe yun, khwaabon ke daayron mein hi rakhna,
Haqeeqat mein, inke ab koi maayne nahi.

Haan, woh almari mein kuch lafz rakhein hain,
Jinhe na kabhi tum bol paaye, na main...
Khamosh se hain, chup chap hi rehte hain,
Sunne ki koshish karna, shayad tumse bol padein.

Tumhari bheeni si khushboo reh gayi hai bas,
Aur door goonjti, tumhari hansi ki kilkariyan...
Inke alawa, is kamre mein,
tumhara aur kuch bhi nahi,
Main bhi nahi...

- Avra Sengupta